nazar uThaen to kya kya fasana banta hai

nazar uthaen to kya kya fasana banta hai
sau pesh-e-yar nigahen jhukana banta hai

wo lakh be-khabar-o-be-wafa sahi lekin
talab kiya hai gar us ne to jaana banta hai

ragon talak utar aai hai zulmat-e-shab-e-gham
so ab charagh nahin dil jalana banta hai

parai aag mera ghar jala rahi hai so ab
khamosh rahna nahin ghul machana banta hai

qadam qadam pe tawazun ki baat mat kije
ye mai-kada hai yahan ladkhadana banta hai

bichhadne wale tujhe kis tarah bataun main
ki yaad aana nahin tera aana banta hai

ye dekh kar ki tere aashiqon mein main bhi hun
jamal-e-yar tera muskurana banta hai

junun bhi sirf dikhawa hai wahshaten bhi ghalat
diwana hai nahin 'faris' diwana banta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close