zakhm-e-dil tujh se main chhupaun kya dard sah kar bhi muskuraun kya ho ijazat to teri mahfil mein apni qismat ko aazmaun kya kyun ishaaron mein kah raha hai tu saf kah de ki bhul jaun kya yun to ye daur hai latifon ka tum kaho to ghazal sunaun kya aish-o-ishrat ke waste ai dil daw iman ka lagaun kya sab ka kirdar jo sajata hai aaina wo tujhe dikhaun kya roti kapda makan mile sab ko khwab aise 'asar' sajaun kya