nazar uThi hai jidhar bhi udhar tamasha hai

nazar uthi hai jidhar bhi udhar tamasha hai
bashar ke waste jaise bashar tamasha hai

zamin thaharti nahin apne panw ke niche
padaw apna hai jis mein wo ghar tamasha hai

yahan qayam karega na mustaqil koi
zara si der rukega agar tamasha hai

figar ho ke bhi rakkhega aabru-e-numu
nigah-e-zar mein jo dast-e-hunar tamasha hai

ai mausamon ke khuda bhed ye khule aakhir
nigah-e-shakh mein kaise shajar tamasha hai

na baal-o-par hain mayassar na izn-e-goyai
to is ke mani hain apni sahar tamasha hai

mila 'nisar-turabi' sara-e-hairat se
wo aaina jise apni nazar tamasha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close