nazil hua tha shahr mein kala azab ek ghaarat-gar-e-nasib tha khana-kharab ek sansen sisakti rah gain diwar-o-dar ke bich barpa hua tha chhat pe naya inqalab ek mera safar tha jism ke bahar falak ki samt utra tha meri qabr pe jab aaftab ek mere liye bahut thi khizan-dida raushni us ki pasand lakh mera intikhab ek arz-o-sama se koi talluq na rabta ras aa gaya hai mujh ko safar la-jawab ek shahr-e-ghazal mein jauhar-e-nayab fan 'alim' hain sainkadon janab mein aali-janab ek