ruh afsurda tabiat meri gham-kosh hui

ruh afsurda tabiat meri gham-kosh hui
zindagi apne hi matam mein siyah-posh hui

fikr-e-farda hui ya fikr-e-gham-e-dosh hui
teri yaad aai ki har baat faramosh hui

sohbat-e-shaikh hui sohbat-e-mai-nosh hui
josh mein ruh na phir aai jo madhosh hui

zindagi un ke fasanon se bhi ukta si gai
jo thi sar-ta-ba-qadam gosh giran-gosh hui

jaane kya mahfil-e-parwana mein dekha us ne
phir zaban khul na saki shama jo khamosh hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close