nek-o-bad ki jise KHabar hi nahin

nek-o-bad ki jise khabar hi nahin
shar hai kam-bakht wo bashar hi nahin

wo hain kis haal mein khabar hi nahin
sar bhi nicha hai ek nazar hi nahin

hath khali hai mal-o-zar hi nahin
kya uden jabki baal-o-par hi nahin

mai ki babat khayal kar waiz
is mein nafe bhi hain zarar hi nahin

sharm se tere ru-e-raushan ke
shams bhi zard hai qamar hi nahin

jis ke bais hai zindagi be-lutf
lutf ye hai use khabar hi nahin

rah har dil ko hoti hai dil se
mere dil ki unhen khabar hi nahin

yar to qatl-e-am kar dale
tegh bandhe kahan kamar hi nahin

zabt ki nisbat aap ka hai khayal
main hun aashiq mere jigar hi nahin

mere sine ko chir kar dekho
dil bhi rota hai chashm-e-tar hi nahin

aasman lakh bar dushman ho
kya ho barbaad mere ghar hi nahin

kaun kahta hai mujh ko saudai
ek muddat se mere sar hi nahin

hum qayamat se bhi hue be-fikr
shab-e-hijran ki jab sahar hi nahin

panw phailae mast hote hain
fuqara kyunki mal-o-zar hi nahin

wo to mujh ko jalae jaenge
baad murdan bhi umr bhar hi nahin

baad murdan hai hashr ka khatka
meri jaan fikr se mafar hi nahin

murgh be-wajh chikhe jata hai
ye na bole to jaanwar hi nahin

zulm par ab hai aasman nadim
sar bhi nicha hai ek nazar hi nahin

tauba tauba hazar-ha sharten
kya bataun agar magar hi nahin

phirte ho saikdon nadidon mein
tum ko khauf-e-nazar guzar hi nahin

aadmi aadmi hai izzat se
aab jis mein na ho guhar hi nahin

kam hai ye zad-e-rah ai 'parwin'
tum ko andaza-e-safar hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close