nigah o dil bhi qadam ki tarah mila ke chale

nigah o dil bhi qadam ki tarah mila ke chale
kis ittihad se rahi rah-e-wafa ke chale

wahan se ro ke uthe aur muskura ke chale
bala ka gham tha hamin the ki gham chhupa ke chale

fasurda-dil the magar bazm ko hansa ke chale
kali na tum se khili hum chaman khala ke chale

lipat na jae kahin rah pa-e-nazuk se
ye aap hath se daman kahan chhuda ke chale

tumhin ne dil ke andhere ko di ziya-e-umid
tumhin gharib ke ghar ka diya bujha ke chale

kisi ko dekhte dekha udas ho gae tum
nazar hai koi kahan tak bacha bacha ke chale

'nazir' hun wo sharabi ba-faiz-e-pir-e-mughan
nigah dal dun jis par wo ladkhada ke chale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close