nihaal-e-wasl nahin sang-bar karne ko bas ek phul hai kafi bahaar karne ko kabhi to apne faqiron ki dil-kushai kar kai khazane hain tujh par nisar karne ko ye ek lamhe ki duri bahut hai mere liye tamam umr tera intizar karne ko kashish kare hai wo mahtab dil ko zoron ki chala ye qatra bhi qulzum nisar karne ko to phir ye dil hi na le aaun khub chamka kar tere jamal ka aaina-dar karne ko qaba-e-marg ho ya rakht-e-zindagi ai dost mile hain donon mujhe tar tar karne ko bahut sa kaam diya hai mujhe un aankhon ne hawala-e-dil-e-na-karda-kar karne ko