kuchh to hain paikar pareshan aazaron ke darmiyan aur kuchh aazar pareshan pattharon ke darmiyan sab khabar hote hue pir-e-mughan hai be-khabar tishnagi ka ghalghala hai sagharon ke darmiyan bhid ki be-chehragi mein hain kai chehre nihan chand sar wale bhi hain in be-saron ke darmiyan aao sab ek roz mil baithen ye sochen kyun hui is qadar bechaargi chaaragaron ke darmiyan hadson ke shahr mein ek hadsa ye bhi hua ek shisha aa gaya hai pattharon ke darmiyan ja-e-hairat is nai tahzib mein maujud hai ek purana sa khandar unche gharon ke darmiyan wo to bhaari pad gaya 'betab' ek bichchhu ka dank umr warna kat chuki thi azdahon ke darmiyan