nikal gaya hai koi mar-dhaD karte hue

nikal gaya hai koi mar-dhad karte hue
bhari-puri meri aankhen ujad karte hue

ye rat-jage sar-e-wahshat ghasitte hain mujhe
main lautti hun kitabon ko aad karte hue

ajib tarz-e-hunar par ade hain log yahan
banao sikh rahe hain bigad karte hue

na-jaane kaun si rai adu ke hath lagi
ki nim-jaan hai us ko pahad karte hue

chatan jaisa talluq bhi tut jata hai
zara si darz ko gahri darad karte hue

hamein ye kaisa darinda sifat daur mila
guzar raha hai bahut chir-phad karte hue

yahan-wahan ke farebon se tokari bhar li
idhar udhar se khushi ka jugad karte hue

adal-badal mein hi kheme tabah kar dale
yahan na gad wahan se ukhad karte hue

bhadak rahe ho musalsal sar-e-sukut-o-sukhan
kisi hasad mein khayalon ko bhad karte hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close