nikal laya hai ghar se KHayal ka kya ho

nikal laya hai ghar se khayal ka kya ho
laga hai zakhm to ab indimal ka kya ho

le aae kucha-e-dilbar se dil ko samjha kar
hai be-qarar bahut dekh-bhaal ka kya ho

luta ke mazi nazar is sadi pe rakkhi hai
pe naqsha dekhiye tahsil haal ka kya ho

abhi zamana-e-maujud ki giraft mein hun
main sochta hun ki fikr-e-maal ka kya ho

tha bab-e-shauq ki auraq-e-shab pe likhte rahe
uda ke le gai shab to malal ka kya ho

khayal-e-kham ko duniya apaj samajhti hai
hamari dida-wari ke kamal ka kya ho

nigar-e-zist ko awwal bahut hasin paya
ulajh gaya hun to ab is wabaal ka kya ho

jo asl majra tha barmala kaha main ne
phir us ke baad tere ehtimal ka kya ho

khayal rahta hai 'shahid' wo tursh-ru hai bahut
wahan jo jaun to waz-e-sawal ka kya ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close