wafa ki rah mein dushwariyan bahut si hain

wafa ki rah mein dushwariyan bahut si hain
magar junun ki bhi tayyariyan bahut si hain

jalal apni mohabbat ka sab se uncha hai
badan mein aise to bimariyan bahut si hain

hamare pas faqat dil ka dard hai lekin
tumhaare pas to ayyariyan bahut si hain

har ek shakhs ki fikren juda juda thahrin
jahan-e-am mein khuddariyan bahut si hain

wafa ki sari misalen gina to dun lekin
watan mein apne bhi ghaddariyan bahut si hain

dilon mein palte hue khwab jaante hi nahin
tabah karne ko be-kariyan bahut si hain

kisi ne mujh se kaha tha ki yar sun to sahi
ada mein husn ki makkariyan bahut si hain

saji hai bazm-e-mohabbat ye jaan kis ke liye
yahan to logon mein bezariyan bahut si hain

'nadim' kyun tu tah-e-iztirab dub gaya
dilon ke khel mein bhi pariyan bahut si hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close