nikal mat ghar se tu ai khana-abaad kiya ab hum ne bhi virana aabaad qubul hoga kahin to sajda apna rahen ye kaba o but-khana aabaad hamara hi rahe ek jam khali mughan rahiyo tera mai-khana aabaad rahe us zulf se ye dil pareshan tera ghar howe yun ai shana aabaad 'raza' luta hai kis saffak ne aa kabhi dil ko tere dekha na aabaad