nim ke us peD se utra hai jin

nim ke us ped se utra hai jin
phir kisi ke khun ka pyasa hai jin

ghar mein jitne log the wo kha gaya
main bacha hun par abhi bhuka hai jin

phunkta hun padh ke sari aayaten
aur mujh ko dekh ke hansta hai jin

kudta hai raat bhar wo sahn mein
har jagah ghar mein mere phirta hai jin

raat dain hai machan se jhulti
aur is ke sath hi latka hai jin

ghar ki ek diwar mein surakh tha
han isi surakh se nikla hai jin

dekh lena ab nahin chhodega wo
ab mere sine pe chadh baitha hai jin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close