nishan manzil ka batlaya na mujh ko ham-safar jaana tazabzub mein pada hai wo jise main ne khizar jaana nazar meri basirat ko sada mahdud rakhti hai pas-e-manzar nahin dekha faqat pesh-e-nazar jaana jahan taqdir le jae wahan raste nahin jate kiya tha rukh idhar ka kyun likha tha jab udhar jaana hawala zindagi ka bhi tumhaari zulf jaisa hai bikharna phir sanwar jaana sanwarna phir bikhar jaana junun ki rah ko ab tak samajh pae nahin sahab ki apne jism ko dha kar faqat jaan se guzar jaana duboya jis ne kashti ko use hi na-khuda samjhe diye the jis ne sare dukh usi ko chaaragar jaana unhin tarik rahon se guzarna hai tumhein 'adil' charagh-e-jaan jala kar tum bila khauf-o-khatar jaana