nist be-yar mujhko hasti hai

nist be-yar mujh ko hasti hai
shahr-e-viran ujad basti hai

hai jahan par mera qadam bhaari
har qadam par zamin dhansti hai

wo pari sath le ke sota hun
hur jis ka palang kasti hai

hai haqiqat majaz se matlub
but-parasti khuda-parasti hai

us ke kushte hain zinda-e-jawed
nisti un ki ain hasti hai

ek but ne diya na hum ko jawab
be-zabanon ki hind basti hai

khaksaron ki hai yahi mearaj
sar-bulandi hamari pasti hai

hai kai din se ghat mein sayyaad
andalib aaj-kal mein phansti hai

is muraqqa ki dekh taswiren
koi roti hai koi hansti hai

manzil-e-ishq ki hai rah hamwar
na bulandi hai yan na pasti hai

husn dikhla raha hai qudrat-e-haq
but ko bhi zauq-e-khud-parasti hai

jaan bhi de kar mile to muft samajh
har tarah jins-e-husn sasti hai

zulf us ki siyah nagin hai
mar rakhti hai jis ko dasti hai

khulengi aankhen nashsha utrega
husn tak upri ye masti hai

aise jine pe 'rind' khak pade
maut us zindagi pe hansti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close