nizam-e-bast-o-kushad-e-mani sanwarte hain hum apne sheron mein tera paikar utarte hain ajab tilismi fiza hai sari balaen chup hain ye kis bayaban mein raat din hum guzarte hain ghubar-e-duniya mein gum hai jab se sawar-e-wahshat atash atash dasht o koh o dariya pukarte hain musafiran-e-guman rahen kyun kamar-khamida chalo ye pushtara-e-tamanna utarte hain jabin-e-ahl-e-gharaz pe koi mukalima kya jahan tahan hajaton ki jholi pasarte hain