kuchh bhi dushwar nahin azm-e-jawan ke aage

kuchh bhi dushwar nahin azm-e-jawan ke aage
aashiyan bante gae barq-e-tapan ke aage

zindagi naghma-e-dil-kash hai magar ai nadan
tu ne sikha hi nahin aah-o-fughan ke aage

qissa-e-bazm-e-tarab tazkira-e-mausam-e-gul
khub hain yun to magar sokhta-jaan ke aage

hum hain aur fasl-e-khizan fasl-e-khizan hai aur hum
hum se kya puchhte ho fasl-e-khizan ke aage

dastaras aql ki hai sarhad-e-idrak sahi
manzilen aur bhi hain wahm-o-guman ke aage

zahmat-e-yak-nigah-e-lutf kabhi to ai dost
hum ko kahna hai bahut lafz-o-bayan ke aage

yun to dozakh mein bhi hangame bapa hain lekin
phike phike se hain aashob-e-jahan ke aage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close