paDho ibarat-e-taKHliq-e-dard chehre par

padho ibarat-e-takhliq-e-dard chehre par
likhi hai karb ki rudad zard chehre par

chhupa rahi hai khad-o-khal jhurriyan ban kar
jami hui thi safar mein jo gard chehre par

kamal-e-zabt to ye hai ki rang-e-mayusi
dam-e-shikast bhi jhalke na mard-chehre par

pighalti kyun na bhala barf ajnabiyyat ki
nazar ki dhup jo thahri thi sard chehre par

main dhul ahl-e-chaman meri qadr kya jaanen
mujhe sajate hain sahra-naward chehre par

har ek jism barahna lage wahan 'azim'
jahan naqab rakhe fard fard chehre par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close