pae-gunah hai teri panah ki taKHsis

pae-gunah hai teri panah ki takhsis
ki hai tujhi pe har ek dad-khwah ki takhsis

jo aap samjhe hain mujrim hamein to kuchh nahin dar
ki ki hai aap hi ne do gawah ki takhsis

firaq-e-yar mein be-roe ban nahin padti
asar ke waste kar di hai aah ki takhsis

na dil churaate hamara na tum khajil hote
pae-hijab hai nichi nigah ki takhsis

dikhawe aur koi apna yar zohra-jabin
jo aasman nahin us rashk-e-mah ki takhsis

pahunch hi jate kabhi phir phira ke dar pe tere
ye tu ne kahe ko ki ek rah ki takhsis

tamam khalq-e-khuda tujh ko chahne lagti
laga na deta agar tu panah ki takhsis

wo mujh se kahte hain tum chahte nahin mujh ko
mere dubone ko karte hain chah ki takhsis

hai teri zarra-nawazi ki ye dalil adna
ki aasman ke hai ham-rah jah ki takhsis


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close