roz ek shakhs chala jata hai khwahish karta abhi aa jaega baadal koi barish karta ghar se nikla to jahan-zad khuda itne the main ana-zad bhi kis kis ki parastish karta hum to har lafz mein jaanan teri taswir hue is tarah kaun sa aaina sataish karta kisi wahshat-zada aaseb ki manind hun main ek makan mein kai namon se rihaish karta ek na ek din to ye diwar-e-qafas girni thi main na karta to koi aur ye shorish karta ab jo taswir bana li to ye dhun aur lagi! kabhi dekhun lab-e-taswir ko jumbish karta sab andhere mein hain ek apne makan ki khatir kya hawaon se charaghon ki sifarish karta aur kya mujh se teri kuza-gari chahti hai main yahan tak to chala aaya hun gardish karta in zaminon hi pe kya khosha-e-gandum ke liye aasmanon se chala aaya hun sazish karta