pahle to faqat us ka talabgar hua main

pahle to faqat us ka talabgar hua main
phir ishq mein khud apne giraftar hua main

aankhon mein basa jab bhi koi ajnabi chehra
ek lazzat-e-be-nam se do-chaar hua main

main yusuf-e-sani na 'zulekha' na wo darbar
kya soch ke ruswa sar-e-bazar hua main

ek umr bagulon ke taaqub mein guzari
phir apni hi parchhain se bezar hua main

main munsif-e-dauran na faqihon mein hun shamil
kis jurm mein be-jubba-o-dastar hua main

haq-goi ki padash mein mansur ki surat
har daur mein waqf-e-rasan-o-dar hua main

main apne hi hone se gurezan hua 'khusraw'
iqrar ki surat kabhi inkar hua main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close