wo koi jadui taKHliq nazar aati hai

wo koi jadui takhliq nazar aati hai
dur se bhi mujhe nazdik nazar aati hai

jis se khilta hai bayaban mein gulon ka mausam
husn-e-jaanan mein wo tahrik nazar aati hai

hai mohabbat mein ujala hi ujala lekin
ye gupha dur se tarik nazar aati hai

aap kyon hijr ke topic pe pareshan ho ji
kya kahin par koi tashkik nazar aati hai

nazm ho ya ho ghazal ya koi pyari taswir
nasl-e-gauhar hi ki takhliq nazar aati hai

aaj-kal main bhi pareshan hun mere paper hain
aaj-kal wo bhi bahut weak nazar aati hai

hath phailaun to aata hai nazar haal mera
hath bandhun to mujhe bhik nazar aati hai

aur ab kuchh bhi nahin thik se dikhta mujh ko
yar lekin tu mujhe thik nazar aati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close