palkon par moti rakkhe hain sochon par sannaTa hai

palkon par moti rakkhe hain sochon par sannata hai
tabiron ka shor bahut hai khwabon par sannata hai

aaankhon se baaten karne ka mausam hai khamosh raho
aur to sab kuchh jaez hai yan lafzon par sannata hai

din to khair guzare hum ne hans kar bhi chup rah kar bhi
lekin jab se bichhde hain tum se raaton par sannata hai

shayad ab mausam ke panchhi aaen to chahkar ude
chidiyon ke ghar jab se ujde pedon par sannata hai

kaun se din hain bachchon ke bin raste sune sune hain
koi zulf nahin lahraati galiyon par sannata hai

kis se kah kar halke ho len koi ab milta hi nahin
dil mein huk bahut uthti hai honton par sannata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close