tazkira un ka hi jo rang badal jate hain

tazkira un ka hi jo rang badal jate hain
baat sayon ki nahin sae to dhal jate hain

aap zahmat na karen pursish-e-haal-e-dil ki
munh se naguftani jumle bhi nikal jate hain

itna khush-fahm na ho ai dil-e-pazh-murda ki ab
wo shagufe jo na khil paen kuchal jate hain

kuchh diye khun rag-e-jaan se hue hain raushan
kuchh diye tundi-e-sahba se bhi jal jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close