pareshan karne walon ko pareshan kaun dekhega

pareshan karne walon ko pareshan kaun dekhega
hamare baad ye rang-e-gulistan kaun dekhega

ba-juz mere ye dilchaspi ka saman kaun dekhega
jala kar dil ke daghon ko charaghan kaun dekhega

kise gulshan se itna ishq hai meri tarah gulchin
qafas mein rakh ke taswir-e-gulistan kaun dekhega

use rangin use sad-chaak hona chahiye warna
tera daman mera chaak-e-gareban kaun dekhega

bajae saghar-e-mai tere maikhane mein ai saqi
chalen jab botalen har-dam khumistan kaun dekhega

chaman khud baghban pamal karta hai to hairat kya
chaman to us ne dekha hai bayaban kaun dekhega

hakim-e-waqt hun main hi agar gulshan se uth jaun
to phir ai baghban nabz-e-bahaaran kaun dekhega

bacha kar us ko rakkha hai kaleje mein ki phir tujh ko
jo chashm-e-abla phuti pasheman kaun dekhega

duaen kyun na dun har dam nigah-e-naz-e-qatil ko
jo ye nashtar na ho su-e-rag-e-jaan kaun dekhega

ghanimat ye bhi hai is daur mein phir warna ai hamdam
janab-e-'barq' sahab sa sukhan-dan kaun dekhega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close