pari-paikar jo mujh wahshi ka pairahan banate hain

pari-paikar jo mujh wahshi ka pairahan banate hain
gareban chaak kar dete hain be-daman banate hain

junun mein ja-ba-ja hum jo lahu rote hain sahra mein
gulon ke shauq mein virane ko gulshan banate hain

jinhen ishq-e-dili hai wo tumhaara nam japne ko
tahaarat se hamari khak ki misran banate hain

muraqqa khinchte hain jo tere ganj-e-shahidan ka
tah-e-shamshir har taswir ki gardan banate hain

diya karte ho tum jis tarah se bal zulf-e-pechan ko
musafir ke liye yun phansiyan rahzan banate hain

hasinan-e-chaman par khatma hai jama-zebi ka
phata padta hai joban jo ye pairahan banate hain

hamesha shefta rakhti hai apni husn-e-qudart ka
khud us ki ruh ho jate hain jis ka tan banate hain

irada hai jo shamshir-e-do-dam ke munh pe chadhne ka
tere jaan-baz chaar aaina o joshan banate hain

raha karte hain wo dil mein phira karte hain nazron mein
ata karte hain nur aankhon ko dil raushan banate hain

salah-e-ishq de de kar kiye dete hain khud rafta
tere shaidai dil se dost ko dushman banate hain

koi chaak-e-jigar bulbul ka gul-chinon se pata hai
nikharne ko gul apne apne pairahan banane hain

gulon ke dher la la ke chaman se us mein phunkenge
qarib-e-bostan bedad-gar gulkhan banate hain

madad tayar hai naqsha iram ka khinch ke aaya hai
shahid-e-naz par rahm aa gaya madfan banate hain

muraqqa khinchte hain bagh ka jo husn qudrat se
gul-e-shadab ka kya rang kya roghan banate hain

talluq zeb-o-zinat se nahin kuchh khaksaron ko
'sharaf' mitti mein rangte hain jo pairahan banate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close