pech de zulf-e-ambarin na kahin khud ulajh jao ai hasin na kahin kabhi ghabraate hain to kahte hain koi betab hai kahin na kahin bahut israr wasl par nahin khub munh se kah den wo phir nahin na kahin zikr jis ghamzade ka hota hai dil ye kahta hai hon hamin na kahin sajde karte hain log der mein bhi wan bhi ai yar hon hamin na kahin naz uthata hai nazninon ke dil bhi ho jae naznin na kahin sunte hain arsh hai rafia bahut koi jaanan ki ho zamin na kahin kah rahi hai fasurdagi un ki mar gaya hai koi kahin na kahin dil mera le gae to hain khush khush hon jo meri tarah hazin na kahin aasman jis ko log kahte hain koi qatil ki ho zamin na kahin muztarib be-sabab nahin 'zeba' dil laga hai magar kahin na kahin