phir is duniya se ummid-e-wafa hai tujhe ai zindagi kya ho gaya hai badi zalim nihayat bewafa hai ye duniya phir bhi kitni khushnuma hai koi dekhe to bazm-e-zindagi mein ujalon ne andhera kar diya hai khuda se log bhi khaif kabhi the magar logon se ab khaif khuda hai maze puchho kuchh us se zindagi ke hawadis mein jise jina pada hai mere pahlu mein dil hai to yaqinan azal hi se magar tuta hua hai zaban-o-fan se main waqif nahin hun magar wijdan mera rahnuma hai mere naqqad meri shairi to mere tute hue dil ki sada hai kahan hun 'shad' main to shad sa hun wo shad-e-khush-nawa to mar chuka hai