usne toDa jahan koi paiman

us ne toda jahan koi paiman
marhale aur ho gae aasan

mir hai koi koi hai sultan
sochta hun kahan gaya insan

aandhiyon mein jala rahe the charagh
hae wo log be-sar-o-saman

falsafi falsafon mein dub gae
aadmi ka lahu raha arzan

abr ban kar baras hi jaega
khet se jab utha gham-e-dahqan

shoala-e-gul hai zakhm-e-dil ki tarah
ye chaman mein bahaar hai ki khizan

sina-e-sang mein bhi phul khile
gham jahan bhi hua gham-e-pinhan

dil ki aazurdagi na puchh 'zafar'
baat mere liye hai sang-e-giran


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close