phir naghma-rez abr-e-bahaaran hai aaj-kal phir chaak-e-dil ba-qadr-e-gareban hai aaj-kal rangini-e-bahaar ka allah re fusun saz-e-dil-e-shikasta ghazal-khwan hai aaj-kal phir main hun aur mahfil-e-jaanan ki aarzu phir mehrban siyasat-e-darban hai aaj-kal wo sajda jo bahae do-alam se hai garan meri jabin-e-shauq mein ghaltan hai aaj-kal ye abr ye hawa ye barasti hui sharab kafir hai sakht wo jo musalman hai aaj-kal saqi ne wa kiya dar-e-mai-khana-e-hayat fitrat ki chashm-e-mehr pasheman hai aaj-kal main aur daur-e-saghar-o-mina hai in dinon aankhen hain aur tasawwur-e-jaanan hai aaj-kal pahle bhi itr-bez nasim-e-bahaar thi kis ki shamim-e-zulf pareshan hai aaj-kal bhati nahin hai dil ko kisi saz ki sada naghmon ka har-nafas mein wo tufan hai aaj-kal zholidgi na puchh fazaon mein ham-nashin khushbu-e-zulf-e-dost pareshan hai aaj-kal har jalwa-e-hayat ba-qadr-e-nishat-o-rang minnat-kash-e-tabassum-e-jaanan hai aaj-kal ai ruh-e-dard-o-shad ye tera hi faiz hai 'jauhar' jo is ada se ghazal-khwan hai aaj-kal