phir se badle yahan tahzib ne tewar apne

phir se badle yahan tahzib ne tewar apne
noch kar phenk diye jism se zewar apne

us ne shab-khun jo mara to bacha kuchh bhi nahin
hum udate hi rahe chhat pe kabutar apne

aise zindan mein hain jis mein ki na diwar na dar
us ne ye soch ke khud kat liye par apne

sar-phira mujh sa koi mere muqabil bhi to ho
har kisi par nahin khulne ke hain jauhar apne

aasman chhune ki khwahish ne hi bakhshi parwaz
warna haalat ne to kat diye par apne

kis pari-khana-e-gul-gasht mein pahuncha hun ki ab
aaine mein bhi thaharte nahin paikar apne

lucknow mein abhi tahzib ke tewar hain wahi
is bhikaran ne to badle nahin zewar apne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close