zindagi mein yun to har ek hadisa nagah tha jism ke parchhain banne ka amal jaan-kah tha ab to sare dasht-o-dariya in nigahon mein rahen din gae zauq-e-safar mein jab koi gumrah tha khali-pan apni jagah kuchh talkhiyan rakhta to hai khokhle-pan se rifaqat ke bhi dil aagah tha tewar-e-dariya ka shikwa hai na tufan ka gila meri parwaren khafa thin baadban bad-khwah tha ajnabiyyat aa gai hai mujh mein thodi si to kya ye zamana bhi meri jaanib se la-parwah tha