phul se zakhmon ka ambar sambhaale hue hain gham ki punji mere ashaar sambhaale hue hain hum se puchho na shab-o-roz ka aalam socho kaise dhadkan ki ye raftar sambhaale hue hain ghar bhi bazar ki manind rakhe hain apne wo jo bazar ka meayar sambhaale hue hain ek nowel hain kabhi padh tu hamein fursat mein tan-e-tanha kai kirdar sambhaale hue hain hum mohabbat ke tale kanp rahe hain aise jaise darki hui diwar sambhaale hue hain zakhm le kar ye sabhi apne main jata bhi kahan yun bhi ijlas gunahgar sambhaale hue hain