titli qafas mein qaid-e-saba dhundhti rahi main shahr-e-nang mein bhi rida dhundhti rahi wo titliyon mein mast bahut mutmain sa tha jis ko chaman mein meri sada dhundhti rahi rut ki tarah mizaj badal kar chala gaya wo bewafa tha us mein wafa dhundhti rahi takht-e-munafiqat pe wahi hukmaran tha bahr-e-khulus jis ko sada dhundhti rahi josh-e-junun ke hath jise dan kar chuki phir main zaruratan wo ana dhundhti rahi dil par lage jo zakhm kahan mundamil hue main shahr shahr phirti dawa dhundhti rahi basti mein ek bhi na wafadar mil saka main dar-ba-dar bhatakti wafa dhundhti rahi sail-e-bala bhanwar mein jahan chhod kar gaya main nakhuda ke sath khuda dhundhti rahi diwar-e-dil se meri chura ke wo le gaya jagmag si raushni wo diya dhundhti rahi meri hatheliyon pe rache zakhm zakhm rang 'bano' main in mein bu-e-hina dhundhti rahi