pi ke girne ka hai khayal hamein saqiya lijiyo sambhaal hamein shab na aae jo apne wade par guzre kya kya na ehtimal hamein tere ghusse ne ek-dam mein kiya murda-e-sad-hazar sal hamein dil mein muzmar hai mani-e-baqi kisi surat nahin zawal hamein tal-e-bad se nayyar-e-'rakhshan' apne hi ghar mein hai visal hamein