pichhli rafaqaton ka na itna malal kar apni shikastagi ka bhi thoda khayal kar das le kahin tumhin ko na mauqa nikal kar rakkho na aastin mein koi sanp pal kar sharmindagi ka zakhm na gahra lage kahin kuchh is qadar daraaz na dast-e-sawal kar meri tarah na tu bhi ghutan ka shikar ho khud apni khwahishon ko na yun paemal kar jo aap ki nigah mein itna buland hai dekha hai us ka zarf bhi main ne khangal kar lamhon ki tund mauj se bachna muhaal hai rakhkhoge kaise yaad ki khushbu sambhaal kar 'arman' bas ek lazzat-e-izhaar ke siwa milta hai kya khayal ko lafzon mein dhaal kar