poshak-e-siyah mein ruKH-e-jaanan nazar aaya

poshak-e-siyah mein rukh-e-jaanan nazar aaya
shab ko hamein khurshid darakhshan nazar aaya

dekha na kahin kufr na iman nazar aaya
hindu koi paya na musalman nazar aaya

malbus-e-siyah mein rukh-e-jaanan nazar aaya
zulmat mein yan chashma-e-haiwan nazar aaya

baalon mein chhupa chehra-e-jaanan nazar aaya
parda mein yahan kufr ke iman nazar aaya

phir josh-e-junun silsila-e-jumba nazar aaya
phir be-sar-o-samani ka saman nazar aaya

pariyan jise kandhe pe uthati thin hamesha
barbaad wo aurang-e-sulaiman nazar aaya

bain-hama wusat bhi hai kya khwan-e-falak-tang
aasuda na us ka koi mehman nazar aaya

aankhon ke tale phir gaya wo aahu-e-shahri
jangal mein jo aahu-e-bayaban nazar aaya

majma mein raqibon ke khula tha tera joda
kal raat ajab khwab-e-pareshan nazar aaya

jis dasht mein phute hain mere aabla-pa
koson wahi sarsabz-e-nistan nazar aaya

ta-sal-e-digar mai ki khurd zinda ki mand
mah-e-ramzan saqi-e-dauran nazar aaya

diwana hun par kaam mein hoshiyar hun apne
yusuf ka khayal aaya jo zindan nazar aaya

shokh-e-mizha-e-bargashta ki dekhi nigah-e-qahr
aahu bhi mujhe sher-e-niystan nazar aaya

mayus phiri aati hain kyun meri duaen
kya bab-e-ijabat pe bhi darban nazar aaya

main zar-e-mah-e-nau hun ki us ne mujhe ai 'mehr'
jab ghaur se dekha to kaha han nazar aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close