pur-nur khayalon ki barsat teri baaten har shakhs ye kahta hai naghmat teri baaten rukhsar hasin darpan aankhon mein haya raushan kirdar tera sandal jazbaat teri baaten simte to dil-e-ashiq phaile to jahan kam hai sadiyon ko bana degi lamhat teri baaten ab khud se bhi milne ki fursat hi kahan hum ko har sham teri mahfil har raat teri baaten nazren jo utha do tum tare bhi chamak jaen aur chand ko de jae saughat teri baaten aa jati hai milne ko har raat hamein 'zakir' phulon ki rida odhe baraat teri baaten