khuli thi aankh samundar ki mauj-e-khwab tha wo kahin pata na tha us ka ki naqsh-e-ab tha wo ulat rahi thin hawaen waraq waraq us ka likhi gai thi jo mitti pe wo kitab tha wo ghubar-e-rang-e-talab chhat gaya to kya dekha sulagti ret ke sahra mein ek sarab tha wo sab us ki lash ko ghere hue khade the khamosh tamam tishna sawalat ka jawab tha wo wo mere samne khanjar-ba-kaf khada tha 'zeb' main dekhta raha us ko ki be-naqab tha wo