pyar ki rah mein aise bhi maqam aate hain

pyar ki rah mein aise bhi maqam aate hain
sirf aansu jahan insan ke kaam aate hain

un ki aankhon se rakhe kya koi ummid-e-karam
pyas mit jae to gardish mein wo jam aate hain

zindagi ban ke wo chalte hain meri sans ke sath
un ko aise kai andaz-e-khiram aate hain

hum na chahen to kabhi sham ke sae na dhalen
hum tadapte hain to subhon ke salam aate hain

hum pe ho jaen na kuchh aur bhi raaten bhaari
yaad aksar wo hamein ab sar-e-sham aate hain

chhin gae hum se jo haalat ki rahon mein 'qatil'
un hasinon ke hamein ab bhi payam aate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close