qadam qadam pe jo apna nishan banate hain

qadam qadam pe jo apna nishan banate hain
zamin pe chalte hain aur kahkashan banate hain

har ek lamha wo tufan par nazar rakkhen
kanar-e-bahr jo apna makan banate hain

buri nazar na koi sarhadon se par uthe
hum ab watan ke liye pasban banate hain

na bu-e-gul na ana ki ramaq mili un mein
jo wahshaton ka sada aashiyan banate hain

hamare baad ki naslen banengi kya 'manzar'
zamin ko baaton mein hum aashiyan banate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close