qadam qadam pe naya imtihan hai mere liye

qadam qadam pe naya imtihan hai mere liye
ye shahr aaj bhi ek haft-khwan hai mere liye

nahin hai ab koi ehsas-e-roz-o-shab bhi mujhe
bas ek arsa-e-paikar-e-jaan hai mere liye

na rahguzar-e-shajar-dar hai na aab-o-sahab
ye tez dhup ye sahra-e-jaan hai mere liye

main ek sitara hun us ke falak se tuta hua
wo dhund hoti hui kahkashan hai mere liye

samet leti hai mujh ko main tuta-phuta sahi
ye raat khirqa-e-awargan hai mere liye

mahakte rahte hain khwabon mein hijraton ke gulab
nai zamin naya aasman hai mere liye

ubur karna hai dariya-e-shor mujh ko 'kamal'
aur ek kashti-e-be-baadban hai mere liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close