tu ne gham KHwah-maKHwah us ka uThaya hua hai

tu ne gham khwah-makhwah us ka uthaya hua hai
dil ye nadan to kisi aur pe aaya hua hai

is zamane ko dikhane ke liye chehre par
hum ne ek chehra-e-shadab chadhaya hua hai

raat-bhar chand-sitaron se sajate hain use
hum ne jis ghar ko tasawwur mein basaya hua hai

ek chehra jise hum ne bhi nahin dekha kabhi
apni aankhon mein zamane se chhupaya hua hai

sahal lagta hai tujhe kya safar-e-sher-o-sukhan
umr-bhar dhup mein jhulse hain to saya hua hai

wird karte the kabhi jis ka shab-o-roz 'salim'
jaane kya nam tha ab dil ne bhulaya hua hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close