qaid rakh kar use aazad kiya hai main ne waqt kis khel mein barbaad kiya hai main ne dhundhti hai wo kahin aur thikana apna wo mohabbat jise ijad kiya hai main ne ghar se bahar main kisi se nahin milne jata ek nagar soch mein aabaad kiya hai main ne ab jo chahun bhi to main shad nahin ho sakta zindagi kyon tujhe nashad kiya hai main ne 'kaif' fursat nahin itni ki palat kar dekho wo samajhta hai sabaq yaad kiya hai main ne