qamat ko tere sarw sanobar nahin kaha

qamat ko tere sarw sanobar nahin kaha
jaisa bhi tu tha us se to badh kar nahin kaha

us se mile to zom-e-takallum ke bawajud
jo soch kar gae wahi aksar nahin kaha

itni murawwaten to kahan dushmanon mein thin
yaron ne jo kaha mere munh par nahin kaha

mujh sa gunahgar sar-e-dar kah gaya
waiz ne jo sukhan sar-e-mimbar nahin kaha

barham bas is khata pe amiran-e-shahr hain
in jauhadon ko main ne samundar nahin kaha

ye log meri fard-e-amal dekhte hain kyun
main ne 'faraaz' khud ko payambar nahin kaha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close