qata hota rahe is tarah bayan-e-waiz

qata hota rahe is tarah bayan-e-waiz
ek hi baat mein ho band zaban-e-waiz

turfa-afat mein phansi aati hai jaan-e-waiz
kaun mai-khana mein tha martaba-dan-e-waiz

kyun na mina-e-mai-e-nab patak dun sar par
aish jab talkh ho sun sun ke bayan-e-waiz

is tarah pand-o-nasihat ki uthai tamhid
aaj saqi pe hua mujh ko guman-e-waiz

tezi-e-baada kuja talkhi-e-guftar kuja
kund hai nashtar-e-saqi se sinan-e-waiz

fasl-e-gul aate hi mai-khana mein ek bhid hui
na suni ek bhi rindon ne fughan-e-waiz

phir dar-e-pir-e-kharabaat pe baitha hai 'habib'
ye to aaya tha abhi sun ke bayan-e-waiz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close