qatl chhupte the kabhi sang ki diwar ke beach

qatl chhupte the kabhi sang ki diwar ke beach
ab to khulne lage maqtal bhare bazar ke beach

apni poshak ke chhin jaane pe afsos na kar
sar salamat nahin rahte yahan dastar ke beach

surkhiyan amn ki talqin mein masruf rahin
harf barud ugalte rahe akhbar ke beach

kash is khwab ki tabir ki mohlat na mile
shoale ugte nazar aae mujhe gulzar ke beach

dhalte suraj ki tamazat ne bikhar kar dekha
sar-kashida mera saya saf-e-ashjar ke beach

rizq malbus makan sans maraz qarz dawa
munqasim ho gaya insan inhi afkar ke beach

dekhe jate na the aansu mere jis se 'mohsin'
aaj hanste hue dekha use aghyar ke beach


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close