qismat mein jis ke tha wo gaya is jahan se

qismat mein jis ke tha wo gaya is jahan se
hum ko gila nahin hai koi aasman se

ab bhi hai waqt aao chalo hum nikal chalen
dekho dhuan sa uthne laga hai makan se

ye wo parind hai ki nahin jis ka aashiyan
andaza ho gaya hamein us ki udan se

phir faisla karenge mashiyyat hai kis ke sath
tum bhi kabhi to aao utar kar machan se

'manzar' azal se sahab-e-izzat wahi rahe
jo munharif hue na kabhi khandan se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close