qismat mein khushi jitni thi hui aur gham bhi hai jitna hona hai ghar phunk tamasha dekh chuke ab jangal jangal rona hai hasti ke bhayanak nazzare sath apne chale hain duniya se ye khwab-e-pareshan aur hum ko ta-subh-e-qayamat sona hai dam hai ki hai ukhda ukhda sa aur wo bhi nahin aa chukte hain qismat mein ho marna ya jina ab ho bhi chuke jo hona hai dil hi to hai aakhir bhar aaya tum chin-ba-jabin kyun hote ho hum tum ko bhala kuchh kahte hain taqdir ka apni rona hai gham kahe ka yaro matam kya badloge nizam-e-alam kya marna tha 'raza' ko marta hai ye kahe ka rona dhona hai